zaban pe shikwa-e-be-mehri-e-KHuda kyun hai?
dua to mangiye 'atish' kabhi dua ki tarah
Aatish Bahawalpuri
ki jaise kunj-e-chaman se saba nikalti hai
tere liye mere dil se dua nikalti hai
Abrar Ahmad
KHudawanda karam kar fazl kar ahwal par mere
nazar kar aap par mat kar nazar afaal par mere
Abroo Shah Mubarak
takmil-e-arzu se bhi hota hai gham kabhi
aisi dua na mang jise bad-dua kahen
Abu Mohammad Sahar
abhi dilon ki tanabon mein saKHtiyan hain bahut
abhi hamari dua mein asar nahin aaya
Aftab Hussain
main kya karun mere qatil na chahne par bhi
tere liye mere dil se dua nikalti hai
Ahmad Faraz
aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath
kaise zamin ki baat kahen aasman se hum
Ahmad Nadeem Qasmi