hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin
Saghar Siddiqui
ah ka shajar hun main aur ek musafir tu
de koi dua mujh ko le koi dua mujh se
Sajjad Baluch
hijr ki shab nala-e-dil wo sada dene lage
sunne wale raat kaTne ki dua dene lage
Saqib Lakhnavi
tu ne ghaarat kiya ghar baiThe ghar ek aalam ka
KHana aabaad ho tera ai mere KHana-KHara
Shaikh Zahuruddin Hatim
maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe
na dawa yaad rahe aur na dua yaad rahe
he who is stricken by love, remembers naught at all
no cure will come to mind, nor prayer will recall
Sheikh Ibrahim Zauq