اردو हिंदी
Mere KHuda mujhe itna to moatabar kar de | Shaahi Shayari
mere KHuda mujhe itna to moatabar kar de

Ghazal

Mere KHuda mujhe itna to moatabar kar de

Iftikhar Arif

;

mere KHuda mujhe itna to mo'atabar kar de
main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de

ye raushni ke taaqub mein bhagta hua din
jo thak gaya hai to ab is ko muKHtasar kar de

main zindagi ki dua mangne laga hun bahut
jo ho sake to duaon ko be-asar kar de

sitara-e-sahari Dubne ko aaya hai
zara koi mere suraj ko ba-KHabar kar de

qabila-war kamanen kaDakne wali hain
mere lahu ki gawahi mujhe niDar kar de

main apne KHwab se kaT kar jiyun to mera KHuda
ujaD de meri miTTi ko dar-ba-dar kar de

meri zamin mera aaKHiri hawala hai
so main rahun na rahun is ko barwar kar de