nakaam hain asar se duaen dua se hum
majbur hain ki laD nahin sakte KHuda se hum
Ahsan Marahravi
haya nahin hai zamane ki aankh mein baqi
KHuda kare ki jawani teri rahe be-dagh
Allama Iqbal
hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zaban mein asar kahan
Altaf Hussain Hali
mang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
Ameer Minai
aqi hi kya raha hai tujhe mangne ke baad
bas ek dua mein chhuT gae har dua se hum
Amir Usmani
kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif
ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno
Anees Ashfaq
aate hain barg-o-bar daraKHton ke jism par
tum bhi uThao hath ki mausam dua ka hai
Asad Badayuni