اردو हिंदी
Azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi | Shaahi Shayari
azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi

Ghazal

Azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi

Iftikhar Arif

;

azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi
nae safar ke liye rasta na mange koi

buland hathon mein zanjir Dal dete hain
ajib rasm chali hai dua na mange koi

tamam shahr mukarram bas ek mujrim main
so mere baad mera KHun-baha na mange koi

koi to shahr-e-tazabzub ke sakinon se kahe
na ho yaqin to phir moajiza na mange koi

azab-e-gard-e-KHizan bhi na ho bahaar bhi aae
is ehtiyat se ajr-e-wafa na mange koi