اردو हिंदी
Faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue | Shaahi Shayari
faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue

Ghazal

Faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue

Iftikhar Arif

;

faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue
qalam hai raqs mein aashob-e-jaan ke hote hue

hamin mein rahte hain wo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasman ke hote hue

ba-zid hai dil ki nae raste nikale jaen
nishan-e-rah-guzar-e-raftagan ke hote hue

jahan-e-KHair mein ek hujra-e-qanaat-o-sabr
KHuda kare ki rahe jism o jaan ke hote hue

qadam qadam pe dil-e-KHush-guman ne khai mat
rawish rawish nigah-e-mehrban ke hote hue

main ek silsila-e-atishin mein baiat tha
so KHak ho gaya nam-o-nishan ke hote hue

main chup raha ki wazahat se baat baDh jati
hazar shewa-e-husn-e-bayan ke hote hue

ulajh rahi thi hawaon se ek kashti-e-harf
paDi hai ret pe aab-e-rawan ke hote hue

bas ek KHwab ki surat kahin hai ghar mera
makan ke hote hue la-makan ke hote hue

dua ko hat uThate hue larazta hun
kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue