abhi zinda hai man meri mujhe kuchh bhi nahin hoga
main ghar se jab nikalta hun dua bhi sath chalti hai
Munawwar Rana
jab bhi kashti meri sailab mein aa jati hai
man dua karti hui KHwab mein aa jati hai
Munawwar Rana
dushman-e-jaan hi sahi dost samajhta hun use
bad-dua jis ki mujhe ban ke dua lagti hai
Murtaza Birlas
is liye chal na saka koi bhi KHanjar mujh par
meri shah-rag pe meri man ki dua rakkhi thi
Nazeer Baaqri
dua karo ki main us ke liye dua ho jaun
wo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai
Obaidullah Aleem
zamin ko ai KHuda wo zalzala de
nishan tak sarhadon ke jo miTa de
Parveen Kumar Ashk
na chaaragar ki zarurat na kuchh dawa ki hai
dua ko hath uThao ki gham ki raat kaTe
Rajinder Krishan