kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
Fana Nizami Kanpuri
dard-e-dil ki unhen KHabar kya ho
jaanta kaun hai parai choT
Fani Badayuni
dil sarapa dard tha wo ibtida-e-ishq thi
intiha ye hai ki 'fani' dard ab dil ho gaya
Fani Badayuni
is dard ka ilaj ajal ke siwa bhi hai
kyun chaarasaz tujh ko ummid-e-shifa bhi hai
Fani Badayuni
oz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban paDa
hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya
Fani Badayuni
kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujh se
tumhaara dard kai kaam le gaya mujh se
Farhat Abbas Shah
'firaq' dauD gai ruh si zamane mein
kahan ka dard bhara tha mere fasane mein
Firaq Gorakhpuri