tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue
tumhaare dard ko sine se hun lagae hue
Asar Sahbai
yaro nae mausam ne ye ehsan kiye hain
ab yaad mujhe dard purane nahin aate
Bashir Badr
agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota
Chakbast Brij Narayan
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
Faiz Ahmad Faiz
minnat-e-chaara-saz kaun kare
dard jab jaan-nawaz ho jae
Faiz Ahmad Faiz
tez hai aaj dard-e-dil saqi
talKHi-e-mai ko tez-tar kar de
Faiz Ahmad Faiz
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein
har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
Faiz Ahmad Faiz