اردو हिंदी
Duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte | Shaahi Shayari
duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte

Ghazal

Duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte

Fana Nizami Kanpuri

;

duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
yaad aate ho tum KHud hi hum yaad nahin karte

wo jaur-e-musalsal se baz aa to gae lekin
be-dad ye kya kam hai be-dad nahin karte

sahil ke tamashai har Dubne wale par
afsos to karte hain imdad nahin karte

kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte

sahra se bahaaron ko le aae chaman wale
aur apne gulistan ko aabaad nahin karte