mera karb meri tanhai ki zinat
main chehron ke jangal ka sannaTa hun
Ambar Bahraichi
karta main dardmand tabibon se kya rujua
jis ne diya tha dard baDa wo hakim tha
for my pain how could I seek, from doctors remedy
the one who caused this ache, a healer great was he
Ameer Minai
nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka
Ameer Minai
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
Ameer Minai
dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai
yun hi chhan se bol uThna to shishe ka dastur nahin
Andaleeb Shadani
dard meraj ko pahunchta hai
jab koi tarjuman nahin milta
Arsh Malsiyani
ulfat ke badle un se mila dard-e-la-ilaj
itna baDhe hai dard main jitni dawa karun
Asar Akbarabadi