اردو हिंदी
Guman yahi hai ki dil KHud udhar ko jata hai | Shaahi Shayari
guman yahi hai ki dil KHud udhar ko jata hai

Ghazal

Guman yahi hai ki dil KHud udhar ko jata hai

Ahmad Faraz

;

guman yahi hai ki dil KHud udhar ko jata hai
so shak ka faeda us ki nazar ko jata hai

haden wafa ki bhi aaKHir hawas se milti hain
ye rasta bhi idhar se udhar ko jata hai

ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare
so jae bhi to pahar do pahar ko jata hai

ye haal hai ki kai raste hain pesh-e-nazar
magar KHayal teri rah-guzar ko jata hai

tu 'anwari' hai na 'ghaalib' to phir ye kyun hai 'faraaz'
har ek sail-e-bala tere ghar ko jata hai