ishq ruswa-kun-e-alam wo hai 'ahsan' jis se
nek-namon ki bhi bad-nami o ruswai hai
Ahsan Marahravi
jab mulaqat hui tum se to takrar hui
aise milne se to behtar hai juda ho jaana
Ahsan Marahravi
kar ke dafn apne parae chal diye
bekasi ka qabr par matam raha
Ahsan Marahravi
kisi ko bhej ke KHat hae ye kaisa azab aaya
ki har ek puchhta hai nama-bar aaya jawab aaya
Ahsan Marahravi
kisi mashuq ka aashiq se KHafa ho jaana
ruh ka jism se goya hai juda ho jaana
Ahsan Marahravi
kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata
ye rang-e-mulaqat samajh mein nahin aata
Ahsan Marahravi
maut hi aap ke bimar ki qismat mein na thi
warna kab zahr ka mumkin tha dawa ho jaana
Ahsan Marahravi