mera haal-e-zar to dekha magar
ye na puchha kyun ye haalat ho gai
Ahsan Marahravi
mujhe KHabar nahin gham kya hai aur KHushi kya hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kya hai
Ahsan Marahravi
mutmain apne yaqin par agar insan ho jae
sau hijabon mein jo pinhan hai numayan ho jae
Ahsan Marahravi
nakaam hain asar se duaen dua se hum
majbur hain ki laD nahin sakte KHuda se hum
Ahsan Marahravi
qasid nai ada se ada-e-payam ho
matlab ye hai ki baat na ho aur kalam ho
Ahsan Marahravi
ah-e-ulfat ka nishan ye hai ki wo hai be-nishan
jada kaisa naqsh-e-pa tak koi manzil mein nahin
Ahsan Marahravi
ok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigDa abhi tak ghar ki daulat ghar mein hai
Ahsan Marahravi