اردو हिंदी
Chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana | Shaahi Shayari
chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana

Ghazal

Chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana

Ahsan Marahravi

;

chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana
jis tarah aankh uThe mahw-e-ada ho jaana

kisi mashuq ka aashiq se KHafa ho jaana
ruh ka jism se goya hai juda ho jaana

maut hi aap ke bimar ki qismat mein na thi
warna kab zahr ka mumkin tha dawa ho jaana

apne pahlu mein tujhe dekh ke hairat hai mujhe
KHarq-e-adat hai tera wada wafa ho jaana

waqat-e-ishq kahan jab ye talawwun ho wahan
kabhi raazi kabhi aashiq se KHafa ho jaana

jab mulaqat hui tum se to takrar hui
aise milne se to behtar hai juda ho jaana

chheD kuchh ho ki na ho baat hui ho ki na ho
baiThe baiThe unhen aata hai KHafa ho jaana

mujh se phir jae jo duniya to bala se phir jae
tu na ai aah zamane ki hawa ho jaana

'ahsan' achchha hai rahe mal-e-arab pesh-e-arab
de ke dil tum na giraftar-e-bala ho jaana