jo arzan hai to hai un ki mata-e-abru warna
zara si chiz bhi behad giran hai is zamane mein
Ahmaq Phaphoondvi
gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai
mohabbat mein to zarra bhi sitara hone lagta hai
Ahmed Ataullah
ek dil hai ek hasrat ek hum hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paida karen
Ahsan Marahravi
haalat dil-e-betab ki dekhi nahin jati
behtar hai ki ho jae ye paiwand zamin ka
Ahsan Marahravi
hai wo jab dil mein to kaisi justuju
DhunDne walon ki ghaflat dekhna
Ahsan Marahravi
hum apni be-qarari-e-dil se hain be-qarar
aamezish-e-sukun hai is iztirab mein
Ahsan Marahravi
hamara intiKHab achchha nahin ai dil to phir tu hi
KHayal-e-yar se behtar koi mehman paida ka
Ahsan Marahravi