اردو हिंदी
Kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata | Shaahi Shayari
kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata

Ghazal

Kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata

Ahsan Marahravi

;

kyun chup hain wo be-baat samajh mein nahin aata
ye rang-e-mulaqat samajh mein nahin aata

kya dad-e-suKHan hum tumhein den hazrat-e-naseh
hai sau ki ye ek baat samajh mein nahin aata

shaiKH aur bhalai se kare tazkira tera
ai pir-e-KHarabaat samajh mein nahin aata

saya bhi shab-e-hijr ki zulmat mein chhupa hai
ab kis se karen baat samajh mein nahin aata

mushtaq-e-sitam aap hain mushtaq-e-ajal hum
phir kyun ye ruka hat samajh mein nahin aata

roka unhen jaane se sar-e-sham to bole
kyun karte ho tum raat samajh mein nahin aata

dil ek hai aur is ke talabgar hazaron
den kis ko ye saughat samajh mein nahin aata

kyun-kar kahun 'ahsan' ki adu dost hai mera
ho nek wo bad-zat samajh mein nahin aata