hamari sansen mili hain gin ke
na jaane kitne baje hain din ke
Ahsan Yusuf Zai
kaghaz ki naw hun jise tinka Dubo sake
yun bhi nahin ki aap se ye bhi na ho sake
Ahsan Yusuf Zai
luTeron ke liye soti hain aankhen
magar hum apne andar jagte hain
Ahsan Yusuf Zai
nind ko log maut kahte hain
KHwab ka nam zindagi bhi hai
Ahsan Yusuf Zai
oz o shab bech diye hain main ne
is bulandi se giraata kya hai
Ahsan Yusuf Zai
sab ke aangan jhankne wale hum se hi kyun bair tujhe
kab tak tera rasta dekhen sari raat ke jage hum
Ahsan Yusuf Zai
ahut nazdik the taswir mein hum
magar wo fasla jo dikh raha tha
Ain Irfan