asti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'
chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya
Ahmad Ziya
hai mera chehra saikaDon chehron ka aaina
bezar ho gaya hun tamashaiyon se main
Ahmad Ziya
ek main hun ki lahron ki tarah chain nahin hai
ek wo hai ki KHamosh samundar ki tarah hai
Ahmad Ziya
is qadar pur-KHulus lahja hai
us se milna hai umr bhar jaise
Ahmad Ziya
mujh ko mere wajud se koi nikal de
tang aa chuka hun roz ke in hadson se main
Ahmad Ziya
na jaane kitne marahil ke baad paya tha
wo ek lamha jo tu ne guzarne na diya
Ahmad Ziya
nagar nagar mein nai bastiyan basai gain
hazar chaha magar phir bhi apna ghar na bana
Ahmad Ziya