اردو हिंदी
Raushni Shayari | Shaahi Shayari

Raushni

16 Shers

kahin koi charagh jalta hai
kuchh na kuchh raushni rahegi abhi

Abrar Ahmad




nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya
jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi

Abul Mujahid Zahid




ahut sukun se rahte the hum andhere mein
fasad paida hua raushni ke aane se

Alam Khursheed




dete nahin sujhai jo duniya ke KHatt-o-KHal
aae hain tirgi mein magar raushni se hum

Anjum Rumani




ulfat ka hai maza ki 'asar' gham bhi sath hon
tarikiyan bhi sath rahen raushni ke sath

Asar Akbarabadi




aushni jab se mujhe chhoD gai
shama roti hai sirhane mere

Asghar Velori




aushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya

Azad Gulati