aaj tak yaad hai wo sham-e-judai ka saman
teri aawaz ki larzish tere lahje ki thakan
Azeem Murtaza
ab imtiyaz-e-zahir-o-baatin bhi miT gaya
dil chaak ho raha hai gareban ke sath sath
Azeem Murtaza
e-KHudi mein jise hum samjhe hain tera daman
ain mumkin hai ki apna hi gareban nikle
Azeem Murtaza
etabi-e-hayat mein aasudgi bhi thi
kuchh tera gham bhi tha gham-e-dauran ke sath sath
Azeem Murtaza
dard-e-mahrumi-e-jawed bhi ek daulat hai
ahl-e-gham bhi tere sharminda-e-ehsan nikle
Azeem Murtaza
ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaqat ki
warna sath deta hai kaun aaKHiri dam tak
Azeem Murtaza
hum dard ke mare hi giran-jaan hain wagarna
jina teri furqat mein kuchh aasan to nahin hai
Azeem Murtaza