nahin nahin ye KHabar dushmanon ne di hogi
wo aae aa ke chale bhi gae mile bhi nahin
Parveen Shakir
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
dast-basta shahr mein khole meri zanjir kaun
Parveen Shakir
pas jab tak wo rahe dard thama rahta hai
phailta jata hai phir aankh ke kajal ki tarah
Parveen Shakir
qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha
par kya karen ki ab ke safar hi ajib tha
Parveen Shakir
ae pahle se bana li tu ne
dil mein ab hum tere ghar kya karte
Parveen Shakir
aat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
Parveen Shakir
afaqaton ka meri us ko dhyan kitna tha
zamin le li magar aasman chhoD gaya
Parveen Shakir
afaqaton ke nae KHwab KHushnuma hain magar
guzar chuka hai tere e'tibar ka mausam
Parveen Shakir
aste mein mil gaya to sharik-e-safar na jaan
jo chhanw mehrban ho use apna ghar na jaan
Parveen Shakir