uKHsat karne ke aadab nibhane hi the
band aaankhon se us ko jata dekh liya hai
Parveen Shakir
sham paDte hi kisi shaKHs ki yaad
kucha-e-jaan mein sada karti hai
Parveen Shakir
shab ki tanhai mein ab to akasr
guftugu tujh se raha karti hai
Parveen Shakir
shab wahi lekin sitara aur hai
ab safar ka istiara aur hai
Parveen Shakir
sirf is takabbur mein us ne mujh ko jita tha
zikr ho na us ka bhi kal ko na-rasaon mein
Parveen Shakir
supurd kar ke use chandni ke hathon mein
main apne ghar ke andheron ko lauT aaungi
Parveen Shakir
tera ghar aur mera jangal bhigta hai sath sath
aisi barsaten ki baadal bhigta hai sath sath
Parveen Shakir
tere paimane mein gardish nahin baqi saqi
aur teri bazm se ab koi uTha chahta hai
Parveen Shakir
tere tohfe to sab achchhe hain magar mauj-e-bahaar
ab ke mere liye KHushbu-e-hina aai ho
Parveen Shakir