sham paDte hi kisi shaKHs ki yaad
kucha-e-jaan mein sada karti hai
Parveen Shakir
yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha
hamari sal-girah Thik ab ke mah mein hai
Parveen Shakir
us ne mujhe dar-asl kabhi chaha hi nahin tha
KHud ko de kar ye bhi dhoka, dekh liya hai
Parveen Shakir
wo kahin bhi gaya lauTa to mere pas aaya
bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki
Parveen Shakir
wo mere panw ko chhune jhuka tha jis lamhe
jo mangta use deti amir aisi thi
Parveen Shakir
wo mujh ko chhoD ke jis aadmi ke pas gaya
barabari ka bhi hota to sabr aa jata
Parveen Shakir
wo na aaega hamein malum tha is sham bhi
intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
Parveen Shakir
wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
Parveen Shakir
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein raha karti hai
Parveen Shakir