thak gaya hai dil-e-wahshi mera fariyaad se bhi
ji bahalta nahin ai dost teri yaad se bhi
Parveen Shakir
teri chahat ke bhige jangalon mein
mera tan mor ban kar nachta hai
Parveen Shakir
titliyan pakaDne mein dur tak nikal jaana
kitna achchha lagta hai phul jaise bachchon pa
Parveen Shakir
tujhe manaun ki apni ana ki baat sunun
ulajh raha hai mere faislon ka resham phi
Parveen Shakir
tu badalta hai to be-saKHta meri aankhen
apne hathon ki lakiron se ulajh jati hain
Parveen Shakir
us ke yun tark-e-mohabbat ka sabab hoga koi
ji nahin ye manta wo bewafa pahle se tha
Parveen Shakir
us ne jalti hui peshani pe jab hath rakha
ruh tak aa gai tasir masihai ki
Parveen Shakir
us ne mujhe dar-asl kabhi chaha hi nahin tha
KHud ko de kar ye bhi dhoka, dekh liya hai
Parveen Shakir
wo kahin bhi gaya lauTa to mere pas aaya
bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki
Parveen Shakir