ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
us ne KHushbu ki tarah meri pazirai ki
The news of our affinity has spread to every door
He welcomed me like fragrance which he did adore
Parveen Shakir
kya kare meri masihai bhi karne wala
zaKHm hi ye mujhe lagta nahin bharne wala
Parveen Shakir
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajib
hans rahi hain aur kajal bhigta hai sath sath
Parveen Shakir
maqtal-e-waqt mein KHamosh gawahi ki tarah
dil bhi kaam aaya hai gumnam sipahi ki tarah
Parveen Shakir
meri chadar to chhini thi sham ki tanhai mein
be-ridai ko meri phir de gaya tashhir kaun
Parveen Shakir
mere chehre pe ghazal likhti gain
sher kahti hui aankhen us ki
Parveen Shakir
masala jab bhi charaghon ka uTha
faisla sirf hawa karti hai
Parveen Shakir
shab ki tanhai mein ab to akasr
guftugu tujh se raha karti hai
Parveen Shakir
main us ki dastaras mein hun magar wo
mujhe meri raza se mangta hai
Parveen Shakir