main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega
Parveen Shakir
main us ki dastaras mein hun magar wo
mujhe meri raza se mangta hai
Parveen Shakir
maqtal-e-waqt mein KHamosh gawahi ki tarah
dil bhi kaam aaya hai gumnam sipahi ki tarah
Parveen Shakir
masala jab bhi charaghon ka uTha
faisla sirf hawa karti hai
Parveen Shakir
mere chehre pe ghazal likhti gain
sher kahti hui aankhen us ki
Parveen Shakir
meri chadar to chhini thi sham ki tanhai mein
be-ridai ko meri phir de gaya tashhir kaun
Parveen Shakir
meri talab tha ek shaKHs wo jo nahin mila to phir
hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi
Parveen Shakir
mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
Parveen Shakir
na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai
ki jo bhi Thahra wo aaKHir makan chhoD gaya
Parveen Shakir