اردو हिंदी
Ghamand Shayari | Shaahi Shayari

Ghamand

4 Shers

wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi

Ahmad Faraz




shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai

Bashir Badr




oz diwar mein chun deta hun main apni ana
roz wo toD ke diwar nikal aati hai

Khurshid Talab




ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya

Nooh Narvi


Tags: | Jawani | | Jafa | | Ghamand | | Ada | | 2 Lines Shayari |