ab kya milen kisi se kahan jaen ham'nizam'
hum wo nahin rahe wo mohabbat nahin rahi
Nizam Rampuri
ab to sab ka tere kuche hi mein maskan Thahra
yahi aabaad hai duniya mein zamin thoDi si
Nizam Rampuri
ab tum se kya kisi se shikayat nahin mujhe
tum kya badal gae ki zamana badal gaya
Nizam Rampuri
abhi to kaha hi nahin main ne kuchh
abhi tum jo aankhen churane lage
Nizam Rampuri
andaz apna dekhte hain aaine mein wo
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho
looking in the mirror she sees her savoir-faire
and also looks to see no one is peeping there
Nizam Rampuri
apni andaz ke kah sher na kah ye tu 'nizam'
ki chunan baiTh gaya aur chunin baiTh gai
Nizam Rampuri
ahr-e-hasti se kuch hai darpesh
yaad mansuba-e-hubab rahe
Nizam Rampuri
e-saKHta nigahen jo aapas mein mil gain
kya munh par us ne rakh liye aankhen chura ke hath
Nizam Rampuri
osa to us lab-e-shirin se kahan milta hai
galiyan bhi milin hum ko to milin thoDi si
Nizam Rampuri