andaz apna dekhte hain aaine mein wo
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho
looking in the mirror she sees her savoir-faire
and also looks to see no one is peeping there
Nizam Rampuri
angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
dekha jo mujh ko chhoD diye muskura ke hath
she couldn't even stretch out with her arms upraised
seeing me she smiled and composed herself all fazed
Nizam Rampuri
ab tum se kya kisi se shikayat nahin mujhe
tum kya badal gae ki zamana badal gaya
Nizam Rampuri
ab to sab ka tere kuche hi mein maskan Thahra
yahi aabaad hai duniya mein zamin thoDi si
Nizam Rampuri
ab kya milen kisi se kahan jaen ham'nizam'
hum wo nahin rahe wo mohabbat nahin rahi
Nizam Rampuri
ab kis ko yan bulaen kis ki talab karen hum
aankhon mein rah nikli dil mein maqam nikla
Nizam Rampuri
ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki
aankhon mein nind bhi hai bahut raat kam bhi hai
Nizam Rampuri
aap dekhen to mere dil mein bhi kya kya kuchh hai
ye bhi ghar aap ka hai kyun na phir aabaad rahe
Nizam Rampuri
aankhen phuTen jo jhapakti bhi hon
shab-e-tanhai mein kaisa sona
Nizam Rampuri