ye hawa sard chali aur ye baadal aae
kaho saqi se ki saghar chale botal aae
Nizam Rampuri
yun to ruThe hain magar logon se
puchhte haal hain aksar mera
Nizam Rampuri
zid hai gar hai to ho sabhi ke sath
ya na milne ki zid mujhi se hai
Nizam Rampuri
chheD har waqt ki nahin jati
roz ka ruThna nahin jata
Nizam Rampuri
aae bhi wo chale bhi gae yan kise KHabar
hairan hun main KHayal hai ye ya ki KHwab hai
Nizam Rampuri
aankhen phuTen jo jhapakti bhi hon
shab-e-tanhai mein kaisa sona
Nizam Rampuri
aap dekhen to mere dil mein bhi kya kya kuchh hai
ye bhi ghar aap ka hai kyun na phir aabaad rahe
Nizam Rampuri
ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki
aankhon mein nind bhi hai bahut raat kam bhi hai
Nizam Rampuri
ab kis ko yan bulaen kis ki talab karen hum
aankhon mein rah nikli dil mein maqam nikla
Nizam Rampuri