angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
dekha jo mujh ko chhoD diye muskura ke hath
she couldn't even stretch out with her arms upraised
seeing me she smiled and composed herself all fazed
Nizam Rampuri
darban se aap kahte the kuchh mere bab mein
sunta tha main bhi pas hi dar ke khaDa hua
Nizam Rampuri
dekh kar ghair ko shoKHi dekho
mujh se kahte hain ki dekha tu ne
Nizam Rampuri
dena wo us ka saghar-e-mai yaad hai 'nizam'
munh pher kar idhar ko udhar ko baDha ke hath
Nizam Rampuri
do din bhi us sanam se na apni nibhi kabhi
jab kuchh bani to fazl-e-KHuda se bigaD gai
Nizam Rampuri
dushman se aur hotin bahut baaten pyar ki
shukr-e-KHuda ye hai ki wo but kam-suKHan hua
Nizam Rampuri
gar koi puchhe mujhe aap ise jaante hain
ho ke anjaan wo kahte hain kahin dekha hai
Nizam Rampuri
hai KHushi intizar ki har dam
main ye kyun puchhun kab milenge aap
Nizam Rampuri
haq baat to ye hai ki usi but ke waste
zahid koi hua to koi barhaman hua
Nizam Rampuri