jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
Nazeer Akbarabadi
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
sach to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
Nazeer Akbarabadi
juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho
ye dagh wo hai ki dushman ko bhi nasib na ho
from their beloved separated none should be
such a fate should not befall even my enemy
Nazeer Akbarabadi
kahin baiThne de dil ab mujhe jo hawas Tuk main baja karun
nahin tab mujh mein ki jab talak tu phire to main bhi phira karun
Nazeer Akbarabadi
kal bosa-e-pa hum ne liya tha so na aaya
shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa
Nazeer Akbarabadi
kal 'nazir' us ne jo puchha ba-zaban-e-punjab
neh wich meinDi a ki haal-e-tusada we miyan
Nazeer Akbarabadi
kal shab-e-wasl mein kya jald baji thin ghaDiyan
aaj kya mar gae ghaDiyal bajaane wale
Nazeer Akbarabadi
kamal-e-ishq bhi KHali nahin tamanna se
jo hai ek aah to us ko bhi hai asar ki tala
Nazeer Akbarabadi
KHafa dekha hai us ko KHwab mein dil saKHt muztar hai
khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-KHwab apna
Nazeer Akbarabadi