toDe hain bahut shisha-e-dil jis ne 'nazir' aah
phir charKH wahi gumbad-e-minai hai kam-baKHt
Nazeer Akbarabadi
tumhaare hijr mein aankhen hamari muddat se
nahin ye jaantin duniya mein KHwab hai kya chiz
Nazeer Akbarabadi
tu hai wo gul ai jaan ki tere bagh mein hai shauq
jibril ko bulbul ki tarah nara-zani ka
Nazeer Akbarabadi
tu jo kal aane ko kahta hai 'nazir'
tujh ko malum hai kal kya hoga
Nazeer Akbarabadi
tufan uTha raha hai mere dil mein sail-e-ashk
wo din KHuda na lae jo main aab-dida hun
Nazeer Akbarabadi
us bewafa ne hum ko agar apne ishq mein
ruswa kiya KHarab kiya phir kisi ko kya
Nazeer Akbarabadi
wamandgan-e-rah to manzil pe ja paDe
ab tu bhi ai 'nazir' yahan se qadam tarash
Nazeer Akbarabadi
wo aap se ruTha nahin manne ka 'nazir' aah
kya dekhe hai chal panw paD aur us ko mana la
Nazeer Akbarabadi
wo mai-kade mein halawat hai rind-e-mai-kash ko
jo KHanqah mein hai parsa ko aish-o-tara
Nazeer Akbarabadi