KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
Nazeer Akbarabadi
kis ko kahiye nek aur Thahraiye kis ko bura
ghaur se dekha to sab apne hi bhai-band hain
Nazeer Akbarabadi
kitna tanik safa hai ki pa-e-nigah ka
halka sa ek ghubar hai chehre ke rang pa
Nazeer Akbarabadi
koi to pagDi badalta hai auron se lekin
miyan 'nazir' hum ab tum se tan badalte hain
Nazeer Akbarabadi
kuchh hum ko imtiyaz nahin saf o durd ka
ai saqiyan-e-bazm bayarid harche hast
Nazeer Akbarabadi
kuche mein us ke baiThna husn ko us ke dekhna
hum to usi ko samjhe hain bagh bhi aur bahaar bhi
Nazeer Akbarabadi
kyun nahin leta hamari tu KHabar ai be-KHabar
kya tere aashiq hue the dard-o-gham khane ko hum
Nazeer Akbarabadi
likh likh ke 'nazir' is ghazal-e-taza ko KHuban
rakh lenge kitabon mein ye rang-e-par-e-tae
Nazeer Akbarabadi
mai bhi hai mina bhi hai saghar bhi hai saqi nahin
dil mein aata hai laga den aag mai-KHane ko hum
there is the wine, the glass, the flask, but no one to pour
I feel like burning down the tavern on this very score
Nazeer Akbarabadi