tufan uTha raha hai mere dil mein sail-e-ashk
wo din KHuda na lae jo main aab-dida hun
Nazeer Akbarabadi
tu jo kal aane ko kahta hai 'nazir'
tujh ko malum hai kal kya hoga
Nazeer Akbarabadi
tu hai wo gul ai jaan ki tere bagh mein hai shauq
jibril ko bulbul ki tarah nara-zani ka
Nazeer Akbarabadi
sarsabz rakhiyo kisht ko ai chashm tu meri
teri hi aab se hai bas ab aabru meri
Nazeer Akbarabadi
suno main KHun ko apne sath le aaya hun aur baqi
chale aate hain uThte baiThte laKHt-e-jigar pichhe
Nazeer Akbarabadi
shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha
jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha
Nazeer Akbarabadi
shab ko aa kar wo phir gaya haihat
kya isi raat hum ko sona tha
Nazeer Akbarabadi
tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko
hum itr lagate hain garmi mein isi KHas ka
Nazeer Akbarabadi
sar-chashma-e-baqa se hargiz na aab lao
hazrat KHizar kahin se ja kar sharab lao
Nazeer Akbarabadi