munh zard o aah-e-sard o lab-e-KHushk o chashm-e-tar
sachchi jo dil-lagi hai to kya kya gawah hai
Nazeer Akbarabadi
muntazir us ke dila ta-ba-kuja baiThna
sham hui ab chalo subh phir aa baiThna
Nazeer Akbarabadi
na gul apna na KHar apna na zalim baghban apna
banaya aah kis gulshan mein hum ne aashiyan apna
Nazeer Akbarabadi
na itna zulm kar ai chandni bahr-e-KHuda chhup ja
tujhe dekhe se yaad aata hai mujh ko mahtab apna
Nazeer Akbarabadi
'nazir' ab is nadamat se kahun kya
fa-aha summa-aha summa-aha
Nazeer Akbarabadi
'nazir' teri ishaaraton se ye baaten ghairon ki sun raha hai
wagarna kis mein thi tab-o-taqat jo us se aa kar kalam karta
Nazeer Akbarabadi
pukara qasid-e-ashk aaj fauj-e-gham ke hathon se
hua taraj pahle shahr-e-jaan dil ka nagar pichhe
Nazeer Akbarabadi
qismat mein gar hamari ye mai hai to saqiya
be-iKHtiyar aap se shisha karega jast
Nazeer Akbarabadi
wamandgan-e-rah to manzil pe ja paDe
ab tu bhi ai 'nazir' yahan se qadam tarash
Nazeer Akbarabadi