na gul apna na KHar apna na zalim baghban apna
banaya aah kis gulshan mein hum ne aashiyan apna
Nazeer Akbarabadi
main hun patang-e-kaghzi Dor hai us ke hath mein
chaha idhar ghaTa diya chaha udhar baDha diya
Nazeer Akbarabadi
marta hai jo mahbub ki Thokar pe 'nazir' aah
phir us ko kabhi aur koi lat nahin lagti
Nazeer Akbarabadi
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanan raqam karun
gar hath aae kaghaz-e-kashmir ka waraq
Nazeer Akbarabadi
meri is chashm-e-tar se abr-e-baran ko hai kya nisbat
ki wo dariya ka pani aur ye KHun-e-dil hai barsati
Nazeer Akbarabadi
munh zard o aah-e-sard o lab-e-KHushk o chashm-e-tar
sachchi jo dil-lagi hai to kya kya gawah hai
Nazeer Akbarabadi
muntazir us ke dila ta-ba-kuja baiThna
sham hui ab chalo subh phir aa baiThna
Nazeer Akbarabadi
'nazir' teri ishaaraton se ye baaten ghairon ki sun raha hai
wagarna kis mein thi tab-o-taqat jo us se aa kar kalam karta
Nazeer Akbarabadi
qismat mein gar hamari ye mai hai to saqiya
be-iKHtiyar aap se shisha karega jast
Nazeer Akbarabadi

