sab ke liye jahan mein abr-e-karam hain wo
chaaron taraf baraste hain ek bund idhar nahin
Lala Madhav Ram Jauhar
sab ko mahfil mein nasib un ke nazare honge
hum kahin ghash mein paDe ek kinare honge
Lala Madhav Ram Jauhar
sadme uThaen rashk ke kab tak jo ho so ho
ya to raqib hi nahin ya aaj hum nahin
Lala Madhav Ram Jauhar
samjha liya fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puchh lijiye kyun be-qarar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
sar phoD ke mar jaenge badnam karenge
jis kaam se Darte ho wahi kaam karenge
Lala Madhav Ram Jauhar
sauda-e-zulf-e-yar mein hai talKH zindagi
ye zahr hum ne mol liya sanp pal ke
Lala Madhav Ram Jauhar
sayyaad o baghban mein bahut hoti hai salah
aisa na ho kahin gul o bulbul mein jang ho
Lala Madhav Ram Jauhar
shararat dil mein us but ke bhari hai
isi patthar mein hain lakhon sharar band
Lala Madhav Ram Jauhar
sine se lipTo ya gala kaTo
hum tumhaare hain dil tumhaara hai
Lala Madhav Ram Jauhar