ahl-e-jannat mujhe lete hain na dozaKH wale
kis jagah ja ke tumhaara ye gunahgar rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi
log dekhenge tamasha jo mohabbat hogi
Lala Madhav Ram Jauhar
aashiqon ko nafa kab hai inqilab-e-dahr se
hum wahi bande rahenge but KHuda ho jaenge
Lala Madhav Ram Jauhar
aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye
wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye
Lala Madhav Ram Jauhar
aap ke hote kisi aur ko chahun tauba
kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
aaKHir ek roz to paiwand-e-zamin hona hai
jama-e-zist naya aur purana kaisa
Lala Madhav Ram Jauhar
aah-e-pur-soz ki tasir buri hoti hai
KHush rahenge na gharibon ko satane wale
Lala Madhav Ram Jauhar
aahen bhi kin duaen bhi mangin tere liye
main kya karun jo yar kisi mein asar na ho
Lala Madhav Ram Jauhar
aaina kis liye us shoKH ke munh chaDhta hai
kahin qali na khule chehra-e-nurani se
Lala Madhav Ram Jauhar