suKHan-e-saKHt se dil pahle hi tum toD chuke
ab agar baat banao bhi to kya hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
sunsan kar diya mere pahlu ko le ke dil
zalim ne luT kar meri basti tabah ki
Lala Madhav Ram Jauhar
sunta hun main ki aaj wo tashrif laenge
allah sach kare kahin jhuTi KHabar na ho
Lala Madhav Ram Jauhar
su-e-kaba chalun ki jaanib-e-dair
is do-rahe pe dil bhaTakta hai
Lala Madhav Ram Jauhar
surat to dikhate hain gale se nahin milte
aankhon ki to sun lete hain dil ki nahin sunte
Lala Madhav Ram Jauhar
taDap raha hai dil ek nawak-e-jafa ke liye
usi nigah se phir dekhiye KHuda ke liye
Lala Madhav Ram Jauhar
tasawwur zulf ka hai aur main hun
bala ka samna hai aur main hun
Lala Madhav Ram Jauhar
tashrif lao kucha-e-rindan mein waizo
sidhi si rah tum ko bata den najat ki
Lala Madhav Ram Jauhar
tera qusur-war KHuda ka gunahgar
jo kuchh ki tha yahi dil-e-KHana-KHarab tha
Lala Madhav Ram Jauhar