mai-kada jal raha hai tere baghair
dil mein chhaale hain aabgine ke
Lala Madhav Ram Jauhar
mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
mausam-e-baran-e-furqat mein rulane ke liye
mor din ko bol uThta hai papiha raat ko
Lala Madhav Ram Jauhar
mera hi KHat us shoKH ne bheja mere aage
aaKHir jo likha tha wahi aaya mere aage
Lala Madhav Ram Jauhar
meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale
mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
mil bhi jao yunhi tum bahr-e-KHuda aap se aap
jis tarah ho gae ho hum se KHafa aap se aap
Lala Madhav Ram Jauhar
mohabbat ko chhupae lakh koi chhup nahin sakti
ye wo afsana hai jo be-kahe mashhur hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
munh par naqab-e-zard har ek zulf par gulal
holi ki sham hi to sahar hai basant ki
Lala Madhav Ram Jauhar
mujhe ab aap ne chhoDa ki main ne
idhar to dekhiye kis ne dagha ki
Lala Madhav Ram Jauhar