muKHtar main agar hun to majbur kaun hai
majbur aap hain to kise iKHtiyar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
mushtaq jama hain pae-didar saikDon
dar par hain saikDon pas-e-diwar saikDon
Lala Madhav Ram Jauhar
na aao is taraf ai hazrat-e-ishq
chale jao gharibon ka ye ghar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
na gila hai na shikayat mujhe bedad ki hai
hai wahi meri KHushi jo mere sayyaad ki hai
Lala Madhav Ram Jauhar
na mangiye jo KHuda se to mangiye kis se
jo de raha hai usi se sawal hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
na wo surat dikhate hain na milte hain gale aa kar
na aankhen shad hotin hain na dil masrur hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
nala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar
ab jigar tham ke baiTho meri bari aai
Lala Madhav Ram Jauhar
nama-bar na-umid aata hai
hae kya sust panw paDte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
nind aankh mein bhari hai kahan raat bhar rahe
kis ke nasib tum ne jagae kidhar rahe
Lala Madhav Ram Jauhar