teri baaton se aaj to waiz
wo jo thi KHwahish-e-najat gai
Jigar Moradabadi
tere jamal ki taswir khinch dun lekin
zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin
Jigar Moradabadi
teri KHushi se agar gham mein bhi KHushi na hui
wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui
Jigar Moradabadi
tujhe bhul jaana to mumkin nahin hai
magar bhul jaane ko ji chahta hai
Jigar Moradabadi
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
Jigar Moradabadi
us ne apna bana ke chhoD diya
kya asiri hai kya rihai hai
Jigar Moradabadi
usi ko kahte hain jannat usi ko dozaKH bhi
wo zindagi jo hasinon ke darmiyan guzre
Jigar Moradabadi
wahi hai zindagi lekin 'jigar' ye haal hai apna
ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jati hai
Jigar Moradabadi
wo chiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhi kabhi teri aankhon mein pai jati hai
Jigar Moradabadi