wo hazar dushman-e-jaan sahi mujhe phir bhi ghair aziz hai 
jise KHak-e-pa teri chhu gai wo bura bhi ho to bura nahin
Jigar Moradabadi
wo KHalish jis se tha hangama-e-hasti barpa 
waqf-e-betabi-e-KHamosh hui jati hai
Jigar Moradabadi
wo the na mujh se dur na main un se dur tha 
aata na tha nazar to nazar ka qusur tha
Jigar Moradabadi
ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se 
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Jigar Moradabadi
ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije 
ek aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai
Jigar Moradabadi
ye mai-KHana hai bazm-e-jam nahin hai 
yahan koi kisi se kam nahin hai
Jigar Moradabadi
ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae 
jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae
Jigar Moradabadi
ye raaz sun rahe hain ek mauj-e-dil-nashin se 
Dube hain hum jahan par ubhrenge phir wahin se
Jigar Moradabadi
ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana 
sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae
Jigar Moradabadi

