lakh aaftab pas se ho kar guzar gae
hum baiThe intizar-e-sahar dekhte rahe
a million suns have come and gone
still I sat waiting watching out for dawn
Jigar Moradabadi
lakhon mein intiKHab ke qabil bana diya
jis dil ko tum ne dekh liya dil bana diya
Jigar Moradabadi
labon pe mauj-e-tabassum nigah mein barq-e-ghazab
koi batae ye andaz-e-barhami kya hai
Jigar Moradabadi
le ke KHat un ka kiya zabt bahut kuchh lekin
thartharaate hue hathon ne bharam khol diya
Jigar Moradabadi
main jahan hun tere KHayal mein hun
tu jahan hai meri nigah mein hai
Jigar Moradabadi
main to jab manun meri tauba ke baad
kar ke majbur pila de saqi
Jigar Moradabadi
mai-kasho muzhda ki baqi na rahi qaid-e-makan
aaj ek mauj baha le gai maiKHane ko
Jigar Moradabadi
marg-e-ashiq to kuchh nahin lekin
ek masiha-nafas ki baat gai
Jigar Moradabadi
masarrat zindagi ka dusra nam
masarrat ki tamanna mustaqil gham
Jigar Moradabadi