saz-e-ulfat chhiD raha hai aansuon ke saz par
muskurae hum to un ko bad-gumani ho gai
Jigar Moradabadi
sab ko hum bhul gae josh-e-junun mein lekin
ek teri yaad thi aisi jo bhulai na gai
Jigar Moradabadi
sab ko mara 'jigar' ke sheron ne
aur 'jigar' ko sharab ne mara
Jigar Moradabadi
saba ye un se hamara payam kah dena
gae ho jab se yahan subh-o-sham hi na hui
Jigar Moradabadi
sabhi andaz-e-husn pyare hain
hum magar sadgi ke mare hain
Jigar Moradabadi
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz
haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati
Jigar Moradabadi
sehn-e-chaman ko apni bahaaron pe naz tha
wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae
Jigar Moradabadi
taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan
ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai
Jigar Moradabadi
teri aankhon ka kuchh qusur nahin
han mujhi ko KHarab hona tha
Jigar Moradabadi