dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasin gunah kiye ja raha hun main
Jigar Moradabadi
dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya
maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya
Jigar Moradabadi
dil hai qadmon par kisi ke sar jhuka ho ya na ho
bandagi to apni fitrat hai KHuda ho ya na ho
Jigar Moradabadi
dil gaya raunaq-e-hayat gai
gham gaya sari kaenat gai
Jigar Moradabadi
dhaDakne laga dil nazar jhuk gai
kabhi un se jab samna ho gaya
Jigar Moradabadi
dard o gham dil ki tabiat ban gae
ab yahan aaram hi aaram hai
the heart is accustomed to sorrow and pain
in lasting comfort now I can remain
Jigar Moradabadi
dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai
baat bigDi thi kuchh aisi ki banai na gai
Jigar Moradabadi
chashm pur-nam zulf aashufta nigahen be-qarar
is pashimani ke sadqe main pashiman ho gaya
Jigar Moradabadi
igDa hua hai rang jahan-e-KHarab ka
bhar lun nazar mein husn kisi ke shabab ka
Jigar Moradabadi