ahut nazdik aati ja rahi ho
bichhaDne ka irada kar liya kya
Jaun Eliya
hul jaana nahin gunah use
yaad karna use sawab nahin
Jaun Eliya
in tumhaare kabhi nahin aai
kya meri nind bhi tumhaari hai
Jaun Eliya
olte kyun nahin mere haq mein
aable paD gae zaban mein kya
Jaun Eliya
chand ne tan li hai chadar-e-abr
ab wo kapDe badal rahi hogi
Jaun Eliya
dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun
hum to KHud se kalam kar rahe hain
Jaun Eliya
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikwa hum nahin karte
Jaun Eliya
do jahan se guzar gaya phir bhi
main raha KHud ko umr bhar darpesh
Jaun Eliya
ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak
baat nahin kahi gai baat nahin suni gai
Jaun Eliya