ek ajab haal hai ki ab us ko
yaad karna bhi bewafai hai
Jaun Eliya
ilaj ye hai ki majbur kar diya jaun
wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne
Jaun Eliya
in labon ka lahu na pi jaun
apni tishna-labi se KHatra hai
Jaun Eliya
itna KHali tha andarun mera
kuchh dinon to KHuda raha mujh mein
Jaun Eliya
jaan-e-man teri be-naqabi ne
aaj kitne naqab beche hain
Jaun Eliya
jaaniye us se nibhegi kis tarah
wo KHuda hai main to banda bhi nahin
Jaun Eliya
jaan-lewa thin KHwahishen warna
wasl se intizar achchha tha
Jaun Eliya
jate jate aap itna kaam to kije mera
yaad ka sara sar-o-saman jalate jaiye
Jaun Eliya
jama hum ne kiya hai gham dil mein
is ka ab sud khae jaenge
Jaun Eliya

